saqi to mohabbat se do ghunT pilaega
saaqī to mohabbat se do ghūñT pilā.egā
lekin bharī mahfil meñ ehsān jatā.egā
jis haath ke patthar ne auroñ ko kiyā zaḳhmī
patthar ke kabhī nīche vo haath bhī aa.egā
jab munsif-o-qātil meñ kuchh farq nahīñ baaqī
phir kaun adālat kī zanjīr hilā.egā
zālim ko jo mil jaa.e gar chhūT gulistāñ meñ
vo nanhe parindoñ ko rah rah ke satā.egā
jab dard meñ Duubī ho tasvīr zamāne kī
phir naġhma-e-ulfat tū kis raag meñ gā.egā
alfāz ke parde meñ har baat chhupā 'irfāñ'
kyā kyā hai tire dil meñ ye lahja batā.egā
saqi to mohabbat se do ghunT pilaega
lekin bhari mahfil mein ehsan jataega
jis hath ke patthar ne auron ko kiya zaKHmi
patthar ke kabhi niche wo hath bhi aaega
jab munsif-o-qatil mein kuchh farq nahin baqi
phir kaun adalat ki zanjir hilaega
zalim ko jo mil jae gar chhuT gulistan mein
wo nanhe parindon ko rah rah ke sataega
jab dard mein Dubi ho taswir zamane ki
phir naghma-e-ulfat tu kis rag mein gaega
alfaz ke parde mein har baat chhupa 'irfan'
kya kya hai tere dil mein ye lahja bataega
- Book : حاشیےمیں نیکیاں (Pg. 28)
- Author : عرفانؔ شاہ نوری
- Publication : الفاظ پبلی کیشن، کامٹی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.