saqiya ek nazar kafi hai bas ab ke baras
![Ustad Azmat Hussain Khan Ustad Azmat Hussain Khan](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/ustad-azmat-hussain-khan.png)
saqiya ek nazar kafi hai bas ab ke baras
Ustad Azmat Hussain Khan
MORE BYUstad Azmat Hussain Khan
sāqiyā ek nazar kaafī hai bas ab ke baras
aañkh se aañkh ko piitā hai ye ras ab ke baras
mere sayyād ko aayā hai taras ab ke baras
rakh diyā sehn-e-gulistāñ meñ qafas ab ke baras
muntazir aaj har ik rind hai ai abr-e-bahār
mai-kada ġharq ho itnā to baras ab ke baras
abr ghir ghir ke chalā aatā hai maiḳhāne kī samt
kaash saaqī ko bhī aa jaa.e taras ab ke baras
mai-kada saarā mahak jaa.e mai-o-jām ke saath
bāñdhī jaa.e dar-e-mai-ḳhāna pe ḳhas ab ke baras
jis kā jī chāhe vo saaqī kī nazar se pī le
mai-kasho hech hai angūr kā ras ab ke baras
hone vaalā hai koī fā.ez-e-manzil shāyad
aa rahī hai na.ī āvāz-e-jaras ab ke baras
sāhib-e-zarf haiñ sairāb nazar se un kī
aur bhaTakte hī rahe ahl-e-havas ab ke baras
koī tishna na rahegā zarā ho jaane do
saare maiḳhāne pe 'maikash' mirā bas ab ke baras
saqiya ek nazar kafi hai bas ab ke baras
aankh se aankh ko pita hai ye ras ab ke baras
mere sayyaad ko aaya hai taras ab ke baras
rakh diya sehn-e-gulistan mein qafas ab ke baras
muntazir aaj har ek rind hai ai abr-e-bahaar
mai-kada gharq ho itna to baras ab ke baras
abr ghir ghir ke chala aata hai maiKHane ki samt
kash saqi ko bhi aa jae taras ab ke baras
mai-kada sara mahak jae mai-o-jam ke sath
bandhi jae dar-e-mai-KHana pe KHas ab ke baras
jis ka ji chahe wo saqi ki nazar se pi le
mai-kasho hech hai angur ka ras ab ke baras
hone wala hai koi faez-e-manzil shayad
aa rahi hai nai aawaz-e-jaras ab ke baras
sahib-e-zarf hain sairab nazar se un ki
aur bhaTakte hi rahe ahl-e-hawas ab ke baras
koi tishna na rahega zara ho jaane do
sare maiKHane pe 'maikash' mera bas ab ke baras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.