sara aalam dhup ka sa saya-e-ashjar mein
saarā aalam dhuup kā sā sāya-e-ashjār meñ
dam kahāñ se aa.egā marte hue bīmār meñ
is tanāsub par karoge ġhaur to mar jāoge
ḳhuun ke chhīñTe haiñ kitne surḳhī-e-dīvār meñ
āḌī-tirchhī sūrateñ hī ug rahī haiñ shāḳh par
kis ne TuuTe ā.inoñ ko rakh diyā gulzār meñ
sar jhukāne ko jhukā deñ ham to yuuñ bhī sau dafa
shāḳh-e-gul kī bū kahāñ se aap kī talvār meñ
kaun sī baazī lagā.ī jā rahī hai dekhnā
log marte jā rahe haiñ kūcha-e-dildār meñ
jaane kin chehroñ kī sāzish kā natīja hai 'shamīm'
aa.ine TuuTe paḌe haiñ vaqt ke bāzār meñ
sara aalam dhup ka sa saya-e-ashjar mein
dam kahan se aaega marte hue bimar mein
is tanasub par karoge ghaur to mar jaoge
KHun ke chhinTe hain kitne surKHi-e-diwar mein
aaDi-tirchhi suraten hi ug rahi hain shaKH par
kis ne TuTe aainon ko rakh diya gulzar mein
sar jhukane ko jhuka den hum to yun bhi sau dafa
shaKH-e-gul ki bu kahan se aap ki talwar mein
kaun si bazi lagai ja rahi hai dekhna
log marte ja rahe hain kucha-e-dildar mein
jaane kin chehron ki sazish ka natija hai 'shamim'
aaine TuTe paDe hain waqt ke bazar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.