sara aalam teri KHalwat mein ganwa baiThe hain
saarā aalam tirī ḳhalvat meñ gañvā baiThe haiñ
aks ham aañkh kī hairat meñ gañvā baiThe haiñ
ab kisī aur safar ke liye qaa.il na karo
zindagī saarī masāfat meñ gañvā baiThe haiñ
ek dhaḌkā hī rahā tujh se bichhaḌ jaane kā
vasl ko vasl kī hālat meñ gañvā baiThe haiñ
dasht-e-imkān meñ har sū haiñ bagūle uThte
dil-e-vahshī tujhe vahshat meñ gañvā baiThe haiñ
tujh se to qarz-e-tamannā bhī adā ho na sakā
naqd-e-dil terī zarūrat meñ gañvā baiThe haiñ
chand yādoñ ko pas-andāz kiyā thā lekin
ḳhud-farāmoshī kī aadat meñ gañvā baiThe haiñ
sara aalam teri KHalwat mein ganwa baiThe hain
aks hum aankh ki hairat mein ganwa baiThe hain
ab kisi aur safar ke liye qail na karo
zindagi sari masafat mein ganwa baiThe hain
ek dhaDka hi raha tujh se bichhaD jaane ka
wasl ko wasl ki haalat mein ganwa baiThe hain
dasht-e-imkan mein har su hain bagule uThte
dil-e-wahshi tujhe wahshat mein ganwa baiThe hain
tujh se to qarz-e-tamanna bhi ada ho na saka
naqd-e-dil teri zarurat mein ganwa baiThe hain
chand yaadon ko pas-andaz kiya tha lekin
KHud-faramoshi ki aadat mein ganwa baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.