sara din phul pirona chahun
saarā din phuul pironā chāhūñ
us ko ḳhushbū meñ bhigonā chāhūñ
us ke raste ke hazāroñ kāñTe
apne āñchal meñ chubhonā chāhūñ
aaj is raah se vo guzrā hai
aaj maiñ farsh na dhonā chāhūñ
us kī palkoñ pe jo aañsū dekhūñ
maiñ bhī be-sāḳhta ronā chāhūñ
jaise vo bhī ho koī tifl ki maiñ
us ke hāthoñ meñ khilaunā chāhūñ
us kī be-ḳhvāb nigāhoñ kī qasam
maiñ to ik pal bhī na sonā chāhūñ
dostoñ se maiñ bahut vāqif huuñ
phir se māyūs na honā chāhūñ
kaun phūloñ ko 'humairā' dukh de
maiñ to kāñToñ kā bichhaunā chāhūñ
sara din phul pirona chahun
us ko KHushbu mein bhigona chahun
us ke raste ke hazaron kanTe
apne aanchal mein chubhona chahun
aaj is rah se wo guzra hai
aaj main farsh na dhona chahun
us ki palkon pe jo aansu dekhun
main bhi be-saKHta rona chahun
jaise wo bhi ho koi tifl ki main
us ke hathon mein khilauna chahun
us ki be-KHwab nigahon ki qasam
main to ek pal bhi na sona chahun
doston se main bahut waqif hun
phir se mayus na hona chahun
kaun phulon ko 'humaira' dukh de
main to kanTon ka bichhauna chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.