sara maiKHane ka mai-KHana nahin thoDi si
saarā maiḳhāne kā mai-ḳhāna nahīñ thoḌī sī
aap kah deñ to pī leñge yahīñ thoḌī sī
mere afsāne par us jān-e-taġhāful ne kahā
ye kahānī hai dar-āġhosh-e-yaqīñ thoḌī sī
phir ḳhudā jaane kise ham meñ se fursat na mile
guftugū aap se ho jaa.e yahīñ thoḌī sī
sāqī-e-bazm-e-azal terī saḳhāvat ke nisār
ham balā-nosh bhī piite haiñ kahīñ thoḌī sī
jiite jī go kisī jāgīr ke mālik na hue
mar ke mil jā.egī ham ko bhī zamīñ thoḌī sī
sajda-rezī se badalte haiñ muqaddar naḳhshab
aap ghiste to kisī dar pe jabīñ thoḌī sī
sara maiKHane ka mai-KHana nahin thoDi si
aap kah den to pi lenge yahin thoDi si
mere afsane par us jaan-e-taghaful ne kaha
ye kahani hai dar-aghosh-e-yaqin thoDi si
phir KHuda jaane kise hum mein se fursat na mile
guftugu aap se ho jae yahin thoDi si
saqi-e-bazm-e-azal teri saKHawat ke nisar
hum bala-nosh bhi pite hain kahin thoDi si
jite ji go kisi jagir ke malik na hue
mar ke mil jaegi hum ko bhi zamin thoDi si
sajda-rezi se badalte hain muqaddar naKHshab
aap ghiste to kisi dar pe jabin thoDi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.