sara qissa tamam hone ko hai
saarā qissa tamām hone ko hai
dil kisī kā ġhulām hone ko hai
mujh se vo ham-kalām hone ko hai
aisā lagtā hai kaam hone ko hai
saarā din intizār meñ guzrā
ab to aa jaao shaam hone ko hai
'āshiqoñ kā lagā hai ik majma'
jalva-e-yār 'aam hone ko hai
haa.e afsos kuchh na kar paa.e
ziist kā iḳhtitām hone ko hai
dil meñ halchal ye kaisī hai 'faisal'
kyā kisī kā qiyām hone ko hai
sara qissa tamam hone ko hai
dil kisi ka ghulam hone ko hai
mujh se wo ham-kalam hone ko hai
aisa lagta hai kaam hone ko hai
sara din intizar mein guzra
ab to aa jao sham hone ko hai
'ashiqon ka laga hai ek majma'
jalwa-e-yar 'am hone ko hai
hae afsos kuchh na kar pae
zist ka iKHtitam hone ko hai
dil mein halchal ye kaisi hai 'faisal'
kya kisi ka qiyam hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.