sara qusur us ka hai kahta tha jaan-e-jaan
saarā qusūr us kā hai kahtā thā jān-e-jāñ
bolā tumheñ bhī ishq hai to ham ne kah dī haañ
tauba tumhārī bazm se ai ishq-e-nā-murād
aane kā rāstā to hai jaane kā dar kahāñ
ham ne jalā diye the kahānī ke sab varaq
bujh to ga.ī vo aag pa uḌtā rahā dhuāñ
thoḌī sī der ḳhud ko samajhne meñ kyā huī
tā-umr apne hone kā hotā rahā gumāñ
tum bhī kamāl kartī ho 'sanjū' kabhī kabhī
us ne kahā ki jaan do aur tum ne de dī jaañ
sara qusur us ka hai kahta tha jaan-e-jaan
bola tumhein bhi ishq hai to hum ne kah di han
tauba tumhaari bazm se ai ishq-e-na-murad
aane ka rasta to hai jaane ka dar kahan
hum ne jala diye the kahani ke sab waraq
bujh to gai wo aag pa uDta raha dhuan
thoDi si der KHud ko samajhne mein kya hui
ta-umr apne hone ka hota raha guman
tum bhi kamal karti ho 'sanju' kabhi kabhi
us ne kaha ki jaan do aur tum ne de di jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.