sare jagat ki aas thi is par lagi hui
saare jagat kī aas thī is par lagī huī
shāyad ye āgahī kabhī ban jaa.e zindagī
shāyad thī rāzdāñ mirī betāb soch kī
she’r-o-suḳhan kī ek ziyā nāchtī huī
dil ke sitār par kabhī mizrāb jo lagī
lahrā.ī kā.enāt kī ik naġhmagī na.ī
dilkash se ik ḳhayāl kī chanchal mahak liye
tasvīr ek soch kī paiham thī nāchtī
nīñdoñ meñ gum the jaane shikasta se kitne ḳhvāb
āñkhoñ meñ shab kī tīrgī bedār thī abhī
be-chehragī sī ik na.ī chehroñ pe thī liye
shām-o-sahar ye bhiiḌ kahīñ bhāgtī huī
kis paikar-e-jamāl kā thā intizār aaj
palkoñ pe ham sajā.e the shabnam kī pālkī
mehmāñ thā kaun raat shabistān-e-shauq meñ
machlī huī ragoñ meñ thī chāhat na.ī na.ī
ye gesūoñ kī chhāñv ye dilkash badan kī dhuup
is dhūp-chhāñv meñ hī milī ek tāzgī
sare jagat ki aas thi is par lagi hui
shayad ye aagahi kabhi ban jae zindagi
shayad thi raazdan meri betab soch ki
she’r-o-suKHan ki ek ziya nachti hui
dil ke sitar par kabhi mizrab jo lagi
lahrai kaenat ki ek naghmagi nai
dilkash se ek KHayal ki chanchal mahak liye
taswir ek soch ki paiham thi nachti
nindon mein gum the jaane shikasta se kitne KHwab
aankhon mein shab ki tirgi bedar thi abhi
be-chehragi si ek nai chehron pe thi liye
sham-o-sahar ye bhiD kahin bhagti hui
kis paikar-e-jamal ka tha intizar aaj
palkon pe hum sajae the shabnam ki palki
mehman tha kaun raat shabistan-e-shauq mein
machli hui ragon mein thi chahat nai nai
ye gesuon ki chhanw ye dilkash badan ki dhup
is dhup-chhanw mein hi mili ek tazgi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.