sare KHake uske KHake sara manzar us ka hai
saare ḳhāke us ke ḳhāke saarā manzar us kā hai
apnā muqaddar qatra-e-shabnam aur samundar us kā hai
garm havā.eñ dhuup bagūle dasht ye sahrā mere haiñ
kirneñ jugnū shabnam ḳhushbū sarv sanobar us kā hai
dekho vo tārīḳh khaḌī hai ek sunahrā baab liye
jo maqtal meñ pahle pahuñchā aaj muqaddar us kā hai
jis ko maiñ ne phuul diye aur phūloñ kī mahkāreñ diiñ
merī jānib aane vaalā pahlā patthar us kā hai
kāhkashāñ kī saarī jihateñ chāñd kā āñgan dekh liyā
aisī to haiñ us kī galiyāñ aisā to ghar us kā hai
maiñ kyā jānūñ qahr-o-ġhazab pādāsh-e-amal kī baat 'vafā'
apnī haiñ zaitūn kī shāḳheñ arsa-e-mahshar us kā hai
sare KHake us ke KHake sara manzar us ka hai
apna muqaddar qatra-e-shabnam aur samundar us ka hai
garm hawaen dhup bagule dasht ye sahra mere hain
kirnen jugnu shabnam KHushbu sarw sanobar us ka hai
dekho wo tariKH khaDi hai ek sunahra bab liye
jo maqtal mein pahle pahuncha aaj muqaddar us ka hai
jis ko main ne phul diye aur phulon ki mahkaren din
meri jaanib aane wala pahla patthar us ka hai
kahkashan ki sari jihaten chand ka aangan dekh liya
aisi to hain us ki galiyan aisa to ghar us ka hai
main kya jaanun qahr-o-ghazab padash-e-amal ki baat 'wafa'
apni hain zaitun ki shaKHen arsa-e-mahshar us ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.