sare sitaron ke hamin tanha raqib the
saare sitāroñ ke hamīñ tanhā raqīb the
ham ek shab to chāñd ke itne qarīb the
hāthoñ ko ye gila haiñ baḌe kam-nasīb ham
āñkheñ ye sochtī haiñ ki ham ḳhush-nasīb the
rakkhī hai aap hī ke liye jaañ sañbhāl kar
yuuñ shahr meñ kuchh aur bhī husn-e-salīb the
ham meñ hī kuchh kamī thī jo samjhe na jā sake
varna hamāre dost to saare adiib the
hairān haiñ ham aa.ine meñ ḳhud ko dekh kar
jānāñ tumhāre shauq bhī kitne ajiib the
sare sitaron ke hamin tanha raqib the
hum ek shab to chand ke itne qarib the
hathon ko ye gila hain baDe kam-nasib hum
aankhen ye sochti hain ki hum KHush-nasib the
rakkhi hai aap hi ke liye jaan sanbhaal kar
yun shahr mein kuchh aur bhi husn-e-salib the
hum mein hi kuchh kami thi jo samjhe na ja sake
warna hamare dost to sare adib the
hairan hain hum aaine mein KHud ko dekh kar
jaanan tumhaare shauq bhi kitne ajib the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.