sare ummidon ke phulon ko kuchal kar rakh diya
saare ummīdoñ ke phūloñ ko kuchal kar rakh diyā
shīsha-e-dil par hamāre us ne patthar rakh diyā
apnī bastī se añdherā duur ho ye soch kar
aag kī bāñhoñ meñ ham ne apnā chhappar rakh diyā
us kī āñkhoñ meñ jo dekhe the ba-vaqt-e-ruḳhsatī
naam un ashkoñ kā ham ne la.al-o-gauhar rakh diyā
kyā na.ī tahzīb mere ghar talak bhī aa ga.ī
sar kā dopaTTa jo beTī ne uThā kar rakh diyā
saarī hī tahrīr maliyā-meT ho kar rah ga.ī
us ne kāġhaz par jo apnā dīda-e-tar rakh diyā
maslahat ke phūloñ meñ ḳhanjar na ho koī chhupā
sochiye qadmoñ pe us ne kyoñ mire sar rakh diyā
ḳhud vo apne aap meñ majbūr thā 'zāhid' bahut
bevafā.ī kā magar ilzām mujh par rakh diyā
sare ummidon ke phulon ko kuchal kar rakh diya
shisha-e-dil par hamare us ne patthar rakh diya
apni basti se andhera dur ho ye soch kar
aag ki banhon mein hum ne apna chhappar rakh diya
us ki aankhon mein jo dekhe the ba-waqt-e-ruKHsati
nam un ashkon ka hum ne lal-o-gauhar rakh diya
kya nai tahzib mere ghar talak bhi aa gai
sar ka dopaTTa jo beTi ne uTha kar rakh diya
sari hi tahrir maliya-meT ho kar rah gai
us ne kaghaz par jo apna dida-e-tar rakh diya
maslahat ke phulon mein KHanjar na ho koi chhupa
sochiye qadmon pe us ne kyon mere sar rakh diya
KHud wo apne aap mein majbur tha 'zahid' bahut
bewafai ka magar ilzam mujh par rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.