Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare wadon se mukar jaana tha

Mohammad Haneef Katib

sare wadon se mukar jaana tha

Mohammad Haneef Katib

MORE BYMohammad Haneef Katib

    saare va.adoñ se mukar jaanā thā

    dil ne ik roz to bhar jaanā thā

    bahr se uTh ke havā ke hamrāh

    ham ko sahrā meñ bikhar jaanā thā

    rāh-e-pur-ḳhār thī aur ābla-pā

    na sakte the magar jaanā thā

    ye kahāñ aa ga.e bahte bahte

    jis taraf hai udhar jaanā thā

    vādī-e-nūr meñ ruknā thā hameñ

    ḳhema-e-gul meñ Thahar jaanā thā

    ab yahāñ aa ke bhī karnā kyā hai

    terī chaukhaT pe mar jaanā thā

    TikTikī bāñdh rakhī hai tujh par

    merī āñkhoñ ko to bhar jaanā thā

    raqs karnā thā bhañvar ke hamrāh

    aur pātāl utar jaanā thā

    chāñd bhī jāgtā rahtā kab tak

    ham ko bhī lauT ke ghar jaanā thā

    sare wadon se mukar jaana tha

    dil ne ek roz to bhar jaana tha

    bahr se uTh ke hawa ke hamrah

    hum ko sahra mein bikhar jaana tha

    rah-e-pur-KHar thi aur aabla-pa

    ja na sakte the magar jaana tha

    ye kahan aa gae bahte bahte

    jis taraf tu hai udhar jaana tha

    wadi-e-nur mein rukna tha hamein

    KHema-e-gul mein Thahar jaana tha

    ab yahan aa ke bhi karna kya hai

    teri chaukhaT hi pe mar jaana tha

    TikTiki bandh rakhi hai tujh par

    meri aankhon ko to bhar jaana tha

    raqs karna tha bhanwar ke hamrah

    aur patal utar jaana tha

    chand bhi jagta rahta kab tak

    hum ko bhi lauT ke ghar jaana tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now