sari baaton ka gala ghoT diya hai maine
saarī bātoñ kā galā ghoT diyā hai maiñ ne
terī yādoñ kā galā ghoT diyā hai maiñ ne
raat hote hī satātī thiiñ tumhārī yādeñ
so yuuñ rātoñ kā galā ghoT diyā hai maiñ ne
aap ke baa'd kisī aur pe na Tik jaa.e
apnī āñkhoñ kā galā ghoT diyā hai maiñ ne
jin se māñ-bāp kī izzat pe hī aañch aa jaa.e
aise ḳhvāboñ kā galā ghoT diyā hai maiñ ne
jin se ho jaa.eñ mire mulk meñ dange 'shāhīn'
aise sheroñ kā galā ghoT diyā hai maiñ ne
sari baaton ka gala ghoT diya hai main ne
teri yaadon ka gala ghoT diya hai main ne
raat hote hi satati thin tumhaari yaaden
so yun raaton ka gala ghoT diya hai main ne
aap ke ba'd kisi aur pe na Tik jae
apni aankhon ka gala ghoT diya hai main ne
jin se man-bap ki izzat pe hi aanch aa jae
aise KHwabon ka gala ghoT diya hai main ne
jin se ho jaen mere mulk mein dange 'shahin'
aise sheron ka gala ghoT diya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.