sari duniya jab gham-e-dauran se ghabra jae hai
saarī duniyā jab ġham-e-daurāñ se ghabrā jaa.e hai
aap kā dīvāna to us dam bhī hañstā jaa.e hai
ik ghaḌī aisī bhī aatī hai tasavvur meñ tire
jab ḳhud apne jī se terā haal pūchhā jaa.e hai
pūchhte kyā ho dil-e-ġham-āshnā ke hausle
ye safīna vo hai jo tūfāñ se Takrā jaa.e hai
ziist kā anjām kyā hai gardish-e-daurāñ hai kyā
haath meñ ho jaam to ye kis se sochā jaa.e hai
bas hī kyā hai apnā 'shāriq' fitrat-e-muḳhtār par
jo dikhāyā jā rahā hai ham ko dekhā jaa.e hai
sari duniya jab gham-e-dauran se ghabra jae hai
aap ka diwana to us dam bhi hansta jae hai
ek ghaDi aisi bhi aati hai tasawwur mein tere
jab KHud apne ji se tera haal puchha jae hai
puchhte kya ho dil-e-gham-ashna ke hausle
ye safina wo hai jo tufan se Takra jae hai
zist ka anjam kya hai gardish-e-dauran hai kya
hath mein ho jam to ye kis se socha jae hai
bas hi kya hai apna 'shaariq' fitrat-e-muKHtar par
jo dikhaya ja raha hai hum ko dekha jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.