sari duniya mein hai kis tarah ka manzar yara
saarī duniyā meñ hai kis tarah kā manzar yaarā
apne hī ghar meñ hai har aadmī Dar kar yaarā
ek bechainī sī hai qalb ke andar yaarā
merī tanhā.ī hai ab bazm se baḌh kar yaarā
pyaar kab rahtā hai bandish meñ Thahar kar yaarā
baḌhtā hī jaatā hai ye had se guzar kar yaarā
us kī āñkhoñ kī ḳhumārī kī qasam hai ham ko
Duube ik baar jo nikle na ubhar kar yaarā
dhaḌkan pe merī ik terā hī likhā hai naam
dekh lenā tū kabhī dil meñ utar kar yaarā
sari duniya mein hai kis tarah ka manzar yara
apne hi ghar mein hai har aadmi Dar kar yara
ek bechaini si hai qalb ke andar yara
meri tanhai hai ab bazm se baDh kar yara
pyar kab rahta hai bandish mein Thahar kar yara
baDhta hi jata hai ye had se guzar kar yara
us ki aankhon ki KHumari ki qasam hai hum ko
Dube ek bar jo nikle na ubhar kar yara
dhaDkan pe meri ek tera hi likha hai nam
dekh lena tu kabhi dil mein utar kar yara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.