sari KHush-fahmi shuur-o-falsafa pani hua
saarī ḳhush-fahmī shu'ūr-o-falsafa paanī huā
vo udhar bole idhar merā kahā paanī huā
bhīgte lahje meñ kyā karte koī iz.hār-e-hāl
lab se jo niklā vahī harf-e-du'ā paanī huā
tujh se mill kar gum hue ḳhud apne ḳhadd-o-ḳhāl bhī
maiñ ki jaise barf thā tū ne chhuā paanī huā
she'r meñ mumkin nahīñ tā'rīf us ke husn kī
dekh kar jis kā sarāpā ā.īna paanī huā
saare lā-yanhal masā.il haath malte rah ga.e
maiñ sajā kar apnā pindār-e-anā paanī huā
yuuñ hī āñkhoñ meñ nahīñ aa jaate aañsū dosto
dard kā ehsās jab had se baḌhā paanī huā
al-amāñ ai ḳhud-farebī al-madad ḳhush-fahmiyo
ab kise āvāz duuñ sar se sivā paanī huā
ham ne bil-āḳhir vafā kī laaj rakh lī dosto
lekin is jehd-e-'amal meñ ḳhuun kā paanī huā
'umr bhar kī justujū tinkoñ kī sūrat bah ga.ī
kho ga.iiñ samteñ 'zafar' jab rāsta paanī huā
sari KHush-fahmi shu'ur-o-falsafa pani hua
wo udhar bole idhar mera kaha pani hua
bhigte lahje mein kya karte koi izhaar-e-haal
lab se jo nikla wahi harf-e-du'a pani hua
tujh se mill kar gum hue KHud apne KHadd-o-KHal bhi
main ki jaise barf tha tu ne chhua pani hua
she'r mein mumkin nahin ta'rif us ke husn ki
dekh kar jis ka sarapa aaina pani hua
sare la-yanhal masail hath malte rah gae
main saja kar apna pindar-e-ana pani hua
yun hi aankhon mein nahin aa jate aansu dosto
dard ka ehsas jab had se baDha pani hua
al-aman ai KHud-farebi al-madad KHush-fahmiyo
ab kise aawaz dun sar se siwa pani hua
hum ne bil-aKHir wafa ki laj rakh li dosto
lekin is jehd-e-'amal mein KHun ka pani hua
'umr bhar ki justuju tinkon ki surat bah gai
kho gain samten 'zafar' jab rasta pani hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.