sari raat guzar jati hai dil ka sog manane mein
saarī raat guzar jaatī hai dil kā sog manāne meñ
lekin koī kab aatā hai is dil ko samjhāne meñ
kabhī kabhī to aisī girheñ lag jaatī haiñ siine par
jis ko dekh ke chhup jaate haiñ log ka.ī vīrāne meñ
pachhtāve kī almārī meñ rakh dete haiñ saare ḳhvāb
jab koī hañstā mil jaatā hai mujh ko pāgal-ḳhāne meñ
vo jo sab se apnā hissa maañg rahā hai us ko bhī
apnī āñkheñ pesh karūñgā maiñ ik din nazrāne meñ
chhup-chhup kar jo dekh rahe haiñ mujh ko tere baa'd 'nadīm'
un kā naam bhī shāmil hogā aglī baar fasāne meñ
sari raat guzar jati hai dil ka sog manane mein
lekin koi kab aata hai is dil ko samjhane mein
kabhi kabhi to aisi girhen lag jati hain sine par
jis ko dekh ke chhup jate hain log kai virane mein
pachhtawe ki almari mein rakh dete hain sare KHwab
jab koi hansta mil jata hai mujh ko pagal-KHane mein
wo jo sab se apna hissa mang raha hai us ko bhi
apni aankhen pesh karunga main ek din nazrane mein
chhup-chhup kar jo dekh rahe hain mujh ko tere ba'd 'nadim'
un ka nam bhi shamil hoga agli bar fasane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.