sari tabiren hain uski sare KHwab uske liye
saarī ta.abīreñ haiñ us kī saare ḳhvāb us ke liye
har savāl us ke liye hai har javāb us ke liye
hijr ke lamhe shumāreñ yā lakīreñ harf ham
har hisāb us ke liye hai har kitāb us ke liye
qurb us kā hai hamārī vāpsī kā muntazir
jhelte haiñ ham bhī duurī kā azaab us ke liye
vo hamāre vāste rahtā hai har dam muztarib
ham bhī haiñ aa.e hue zer-e-itāb us ke liye
us ke har dukh kā mudāvā apne bas meñ bhī nahīñ
ashk-e-ḳhūñ us ke liye haiñ dil kabāb us ke liye
man kī har ḳhvāhish ko vaarā us kī chāhat par 'shafīq'
khil rahe haiñ tan pe zaḳhmoñ ke gulāb us ke liye
sari tabiren hain us ki sare KHwab us ke liye
har sawal us ke liye hai har jawab us ke liye
hijr ke lamhe shumaren ya lakiren harf hum
har hisab us ke liye hai har kitab us ke liye
qurb us ka hai hamari wapsi ka muntazir
jhelte hain hum bhi duri ka azab us ke liye
wo hamare waste rahta hai har dam muztarib
hum bhi hain aae hue zer-e-itab us ke liye
us ke har dukh ka mudawa apne bas mein bhi nahin
ashk-e-KHun us ke liye hain dil kabab us ke liye
man ki har KHwahish ko wara us ki chahat par 'shafiq'
khil rahe hain tan pe zaKHmon ke gulab us ke liye
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 359)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.