sat pushton ne dard jhela hai
saat pushtoñ ne dard jhelā hai
ham asīroñ ne dard jhelā hai
dhuup vaalo tumheñ ḳhabar hai kyā
barf-zādoñ ne dard jhelā hai
jin ko uḌne kā ishtiyāq nahīñ
un parindoñ ne dard jhelā hai
haa.e afsos dasht-e-karbal meñ
shīr-ḳhvāroñ ne dard jhelā hai
ḳhvāb-zādoñ kī ḳhair ho yārab
aañkh vāloñ ne dard jhelā hai
ye garebān phāḌne vaale
in faqīroñ ne dard jhelā hai
dekh chehre se hai ayaañ 'sāgar'
merī āñkhoñ ne dard jhelā hai
sat pushton ne dard jhela hai
hum asiron ne dard jhela hai
dhup walo tumhein KHabar hai kya
barf-zadon ne dard jhela hai
jin ko uDne ka ishtiyaq nahin
un parindon ne dard jhela hai
hae afsos dasht-e-karbal mein
shir-KHwaron ne dard jhela hai
KHwab-zadon ki KHair ho yarab
aankh walon ne dard jhela hai
ye gareban phaDne wale
in faqiron ne dard jhela hai
dekh chehre se hai ayan 'sagar'
meri aankhon ne dard jhela hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.