saath bahtī nadī ke dhāre se
guftugū kījiye nazāre se
maiñ ki duniyā kī samt jaatā thā
us ne rokā mujhe ishāre se
aa girā raushnī kā ik TukḌā
mere ghar TuuT kar sitāre se
thī zamīñ sūkhne pe āmāda
kyā shikāyat ho abr-pāre se
din Dhalā aur ghar ko lauT aa.e
TuuTe TuuTe se haare haare se
Dūbtī kashtiyoñ ke hamrāhī
jā lage ḳhud-baḳhud kināre se
shab-bhar ākāsh par chamakte haiñ
din meñ phirte haiñ māre-māre se
sath bahti nadi ke dhaare se
guftugu kijiye nazare se
main ki duniya ki samt jata tha
us ne roka mujhe ishaare se
aa gira raushni ka ek TukDa
mere ghar TuT kar sitare se
thi zamin sukhne pe aamada
kya shikayat ho abr-pare se
din Dhala aur ghar ko lauT aae
TuTe TuTe se haare haare se
Dubti kashtiyon ke hamrahi
ja lage KHud-baKHud kinare se
shab-bhar aakash par chamakte hain
din mein phirte hain mare-mare se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.