sath chalte tere magar shayad
saath chalte tire magar shāyad
thā bas itnā hī ye safar shāyad
aql-mandī kī baat karne lage
lag rahā hai tumheñ bhī Dar shāyad
tū ne ghar chhoḌā maiñ huī be-ghar
yaar tū hī thā merā ghar shāyad
kuchh na kah kar bhī dekhte haiñ zarā
ḳhāmushī meñ hī ho asar shāyad
yaad kī koī shāḳh sabz nahīñ
ḳhushk hai dil kā ab shajar shāyad
sath chalte tere magar shayad
tha bas itna hi ye safar shayad
aql-mandi ki baat karne lage
lag raha hai tumhein bhi Dar shayad
tu ne ghar chhoDa main hui be-ghar
yar tu hi tha mera ghar shayad
kuchh na kah kar bhi dekhte hain zara
KHamushi mein hi ho asar shayad
yaad ki koi shaKH sabz nahin
KHushk hai dil ka ab shajar shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.