sath dariya ke hum bhi jaen kya
saath dariyā ke ham bhī jaa.eñ kyā
zor-lahroñ kā āzmā.eñ kyā
peḌ saare ujaḌ chuke kab ke
shor kartī haiñ phir havā.eñ kyā
kab vo guzregī is ḳharābe se
fasl-e-gul se ye pūchh aa.eñ kiyā
phuul bāġhoñ meñ jab nahīñ khilte
phuul gamloñ meñ ham khilā.eñ kyā
raat jañgal kī shahar meñ aa.ī
ghar charāġhoñ se jagmagā.īñ kyā
jo ḳhudā hai kabhī to soche vo
ek duniyā na.ī banā.īñ kyā
ḳhauf kaisā hai shaam se 'fikrī'
aaj utreñgī phir bulā.eñ kyā
sath dariya ke hum bhi jaen kya
zor-lahron ka aazmaen kya
peD sare ujaD chuke kab ke
shor karti hain phir hawaen kya
kab wo guzregi is KHarabe se
fasl-e-gul se ye puchh aaen kiya
phul baghon mein jab nahin khilte
phul gamlon mein hum khilaen kya
raat jangal ki shahar mein aai
ghar charaghon se jagmagain kya
jo KHuda hai kabhi to soche wo
ek duniya nai banain kya
KHauf kaisa hai sham se 'fikri'
aaj utrengi phir bulaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.