sath de sakta nahin zahid ka iman dur tak
saath de saktā nahīñ zāhid kā īmāñ duur tak
jā rahī hai merī fikr-e-nā-musalmāñ duur tak
tere dīvānoñ ne shāne kī qasam khaa.ī hai aaj
baat ab jā.egī ai zulf-e-pareshāñ duur tak
ai junūn-e-āsmāñ-parvāz terā shukriya
jā rahā hai aaj uḌ uḌ kar garebāñ duur tak
ye nahīñ mumkin ki sāhil kā tasavvur Duub jaa.e
kuchh safīnoñ ko Dubote jaa.eñ tūfāñ duur tak
jis ko aanā hai vo aa.e jis ko rahnā hai rahe
rahguzar hī rahguzar hai duur tak haañ duur tak
ai shab-e-ġham kyā karūñ ḳhvāb-e-sahar kā kyā karūñ
hai falak par to charāġhāñ hī charāġhāñ duur tak
moch āḳhir aa ga.ī vīrāniyoñ ke paañv meñ
saath to gulshan ke dauḌe the bayābāñ duur tak
sath de sakta nahin zahid ka iman dur tak
ja rahi hai meri fikr-e-na-musalman dur tak
tere diwanon ne shane ki qasam khai hai aaj
baat ab jaegi ai zulf-e-pareshan dur tak
ai junun-e-asman-parwaz tera shukriya
ja raha hai aaj uD uD kar gareban dur tak
ye nahin mumkin ki sahil ka tasawwur Dub jae
kuchh safinon ko Dubote jaen tufan dur tak
jis ko aana hai wo aae jis ko rahna hai rahe
rahguzar hi rahguzar hai dur tak han dur tak
ai shab-e-gham kya karun KHwab-e-sahar ka kya karun
hai falak par to charaghan hi charaghan dur tak
moch aaKHir aa gai viraniyon ke panw mein
sath to gulshan ke dauDe the bayaban dur tak
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 385)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.