sath guzre hue lamhat pe ro lete hain
saath guzre hue lamhāt pe ro lete haiñ
dil ke afsurda ḳhayālāt pe rū lete haiñ
pahle ham dil ke baḌe saḳht huā karte the
ab ye 'ālam hai ki har baat pe ro lete haiñ
muñh chiḌhāte haiñ ye rūmāl añgūThī jab jab
terī baḳhshī huī sauġhāt pe ro lete haiñ
kitne mā'sūm haiñ ham muñh pe girā kar takiya
apne barbādī-e-hālāt pe ro lete haiñ
ek duuje kī ḳhabar tak nahīñ miltī ham ko
apnī qismat kī karāmāt pe ro lete haiñ
sahn-e-gulshan meñ kahīñ baiTh ke ham to 'tāriq'
bhūle-bisre hue naġhmāt pe ro lete haiñ
sath guzre hue lamhat pe ro lete hain
dil ke afsurda KHayalat pe ru lete hain
pahle hum dil ke baDe saKHt hua karte the
ab ye 'alam hai ki har baat pe ro lete hain
munh chiDhate hain ye rumal anguThi jab jab
teri baKHshi hui saughat pe ro lete hain
kitne ma'sum hain hum munh pe gira kar takiya
apne barbaadi-e-haalat pe ro lete hain
ek duje ki KHabar tak nahin milti hum ko
apni qismat ki karamat pe ro lete hain
sahn-e-gulshan mein kahin baiTh ke hum to 'tariq'
bhule-bisre hue naghmat pe ro lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.