sath ho koi to kuchh taskin si pata hun main
saath ho koī to kuchh taskīn sī paatā huuñ maiñ
tere aage jā ke tanhā aur ghabrātā huuñ maiñ
sāmne aate hī un ke chup sā ho jaatā huuñ maiñ
jaise ḳhud apnī tamannāoñ se sharmātā huuñ maiñ
ik musalsal zabt hī kā naam shāyad ishq hai
ab to nazroñ tak ko āñkhoñ hī meñ pī jaatā huuñ maiñ
dekh sakte kaash tum merī tamannāoñ kā jashn
jab unheñ jhūTī ummīdeñ de ke bahlātā huuñ
mere pairoñ ko hai kuchh roñdī huī rāhoñ se bair
jis taraf koī nahīñ jaatā udhar jaatā huuñ maiñ
ik nigāh-e-lutf aate hī vahī hai hāl-e-dil
sab purāne tajraboñ ko bhuul sā jaatā huuñ maiñ
ye mire ashk-e-musalsal bas musalsal ashk haiñ
kaun kahtā hai tumhārā naam dohrātā huuñ maiñ
shām-e-ġham kyā kyā tasavvur kī haiñ chīra-dastiyāñ
haañ tumheñ bhī tum se bin pūchhe uThā laatā huuñ maiñ
kārobār-e-ishq meñ duniyā kī jhūTī maslahat
mujh ko samjhāte haiñ vo aur dil ko samjhātā huuñ maiñ
saath tere zindagī kā vo tasavvur meñ safar
jaise phūloñ par qadam rakhtā chalā jaatā huuñ maiñ
rañj-e-insāñ kī haqīqat meñ to samjhā huuñ yahī
aaj duniyā meñ mohabbat kī kamī paatā huuñ maiñ
mere aañsū meñ ḳhushbū mere har naale meñ raag
ab to har ik saañs meñ shāmil tumheñ paatā huuñ maiñ
ab tamannā be-sadā hai ab nigāheñ be-payām
zindagī ik farz hai jiitā chalā jaatā huuñ maiñ
haa.e 'mullā' kab milī ḳhāmoshī-e-ulfat kī daad
koī ab kahtā hai kuchh un se to yaad aatā huuñ maiñ
sath ho koi to kuchh taskin si pata hun main
tere aage ja ke tanha aur ghabraata hun main
samne aate hi un ke chup sa ho jata hun main
jaise KHud apni tamannaon se sharmata hun main
ek musalsal zabt hi ka nam shayad ishq hai
ab to nazron tak ko aankhon hi mein pi jata hun main
dekh sakte kash tum meri tamannaon ka jashn
jab unhen jhuTi ummiden de ke bahlata hun
mere pairon ko hai kuchh rondi hui rahon se bair
jis taraf koi nahin jata udhar jata hun main
ek nigah-e-lutf aate hi wahi hai haal-e-dil
sab purane tajrabon ko bhul sa jata hun main
ye mere ashk-e-musalsal bas musalsal ashk hain
kaun kahta hai tumhaara nam dohraata hun main
sham-e-gham kya kya tasawwur ki hain chira-dastiyan
han tumhein bhi tum se bin puchhe uTha lata hun main
karobar-e-ishq mein duniya ki jhuTi maslahat
mujh ko samjhate hain wo aur dil ko samjhata hun main
sath tere zindagi ka wo tasawwur mein safar
jaise phulon par qadam rakhta chala jata hun main
ranj-e-insan ki haqiqat mein to samjha hun yahi
aaj duniya mein mohabbat ki kami pata hun main
mere aansu mein KHushbu mere har nale mein rag
ab to har ek sans mein shamil tumhein pata hun main
ab tamanna be-sada hai ab nigahen be-payam
zindagi ek farz hai jita chala jata hun main
hae 'mulla' kab mili KHamoshi-e-ulfat ki dad
koi ab kahta hai kuchh un se to yaad aata hun main
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 235)
- Author : Khaliq Anjum
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.