sath hona bhi tera jhuTa dilasa hai mujhe
saath honā bhī tirā jhūTā dilāsā hai mujhe
maiñ samajhtā huuñ ki lafzoñ se bahalnā hai mujhe
kyuuñ sañbhālūñ jo ye kahte ho sañbhālo ḳhud ko
jab tirā ġhair kā honā bhī gavārā hai mujhe
tū utartā hī nahīñ dil se abhī tak mere
tū ne kis tarah ḳhudā jaane bhulāyā hai mujhe
ab nahīñ soch zamāne kī bhale jo soche
ab to dīvār se ġham terā lagātā hai mujhe
dam hī lene na diyā mujh ko tirī chāhat ne
dar-ba-dar saath yūñhī apne chalāyā hai mujhe
dekhtā huuñ maiñ ka.ī uḌte parinde din bhar
shaam hotī hai to phir piñjra satātā hai mujhe
jab bhī aa.egī bahāroñ pe javānī 'rāmiz'
terī yādoñ meñ gulāboñ sā bikharnā hai mujhe
sath hona bhi tera jhuTa dilasa hai mujhe
main samajhta hun ki lafzon se bahalna hai mujhe
kyun sanbhaalun jo ye kahte ho sanbhaalo KHud ko
jab tera ghair ka hona bhi gawara hai mujhe
tu utarta hi nahin dil se abhi tak mere
tu ne kis tarah KHuda jaane bhulaya hai mujhe
ab nahin soch zamane ki bhale jo soche
ab to diwar se gham tera lagata hai mujhe
dam hi lene na diya mujh ko teri chahat ne
dar-ba-dar sath yunhi apne chalaya hai mujhe
dekhta hun main kai uDte parinde din bhar
sham hoti hai to phir pinjra satata hai mujhe
jab bhi aaegi bahaaron pe jawani 'ramiz'
teri yaadon mein gulabon sa bikharna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.