sath jati hain nigahen wo jidhar jate hain
saath jaatī haiñ nigāheñ vo jidhar jaate haiñ
yuuñ bhī lamhāt judā.ī ke guzar jaate haiñ
un ko mausam ke taġhayyur ne Thaharne na diyā
aur ham pūchh na paa.e ki kidhar jaate haiñ
husn ko aa.ina kah dete haiñ kuchh log magar
aa.ina sāmne rakh do to bigaḌ jaate haiñ
aaj āñchal meñ girah Daal lī ham ne 'salmā'
kyūñki har baar vo va.ade se mukar jaate haiñ
sath jati hain nigahen wo jidhar jate hain
yun bhi lamhat judai ke guzar jate hain
un ko mausam ke taghayyur ne Thaharne na diya
aur hum puchh na pae ki kidhar jate hain
husn ko aaina kah dete hain kuchh log magar
aaina samne rakh do to bigaD jate hain
aaj aanchal mein girah Dal li hum ne 'salma'
kyunki har bar wo wade se mukar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.