saath kis ko chāhiye ab dhuup kā
ThanD meñ leñge maza sab dhuup kā
baT ga.e haiñ maz.haboñ meñ sab yahāñ
koī batlā.e to maz.hab dhuup kā
mushkiloñ meñ saath koī bhī nahīñ
aaj samjhe ham to matlab dhuup kā
garm mausam se pareshāñ sab hue
jism ThanDā kar de ai rab dhuup kā
chhāñv ghar se oḌh kar niklā karo
kyā pata mausam Dhale kab dhuup kā
paḌh ke aa.eñ phir nayā koī sabaq
khul gayā hai dekho matlab dhuup kā
chhāñv tab hāsil huī mujh ko 'ahad'
tai kiyā har din safar jab dhuup kā
sath kis ko chahiye ab dhup ka
ThanD mein lenge maza sab dhup ka
baT gae hain mazhabon mein sab yahan
koi batlae to mazhab dhup ka
mushkilon mein sath koi bhi nahin
aaj samjhe hum to matlab dhup ka
garm mausam se pareshan sab hue
jism ThanDa kar de ai rab dhup ka
chhanw ghar se oDh kar nikla karo
kya pata mausam Dhale kab dhup ka
paDh ke aaen phir naya koi sabaq
khul gaya hai dekho matlab dhup ka
chhanw tab hasil hui mujh ko 'ahad'
tai kiya har din safar jab dhup ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.