sath kya sach ka de diya humne
saath kyā sach kā de diyā ham ne
sab ko dushman banā liyā ham ne
kahne ko zindagī guzārī hai
kuchh hī pal the jinheñ jiyā ham ne
vaqt ne saare faisle thope
apnī marzī se kyā kiyā ham ne
ham-sarī ham se na kar ai suqrāt
zahr har roz hai piyā ham ne
jaate jaate hai ye malāl 'sadā'
aa ke duniyā meñ kyā kiyā ham ne
sath kya sach ka de diya hum ne
sab ko dushman bana liya hum ne
kahne ko zindagi guzari hai
kuchh hi pal the jinhen jiya hum ne
waqt ne sare faisle thope
apni marzi se kya kiya hum ne
ham-sari hum se na kar ai suqraat
zahr har roz hai piya hum ne
jate jate hai ye malal 'sada'
aa ke duniya mein kya kiya hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.