sath mein kuchh hain kuchh qafas mein hain
saath meñ kuchh haiñ kuchh qafas meñ haiñ
saare panchhī tumhāre bas meñ haiñ
talḳh lahja hai baap kā lekin
fā.ede ḳhuub nīm-ras meñ haiñ
paḌhne baiTheñ to 'umr lag jaa.e
itne afsāne ḳhār-o-ḳhas meñ haiñ
tum ko 'ġhālib' zamāna jāntā hai
ham bhī mash.hūr aaTh das meñ haiñ
kaun aage baḌhe milā.e haath
ab mile haiñ to pesh-o-pas meñ haiñ
chāho jis ko banā do khalnāyak
saare kirdār dastaras meñ haiñ
ruuh parvāz kar ga.ī lekin
aap zinda nafas-nafas meñ haiñ
sath mein kuchh hain kuchh qafas mein hain
sare panchhi tumhaare bas mein hain
talKH lahja hai bap ka lekin
faede KHub nim-ras mein hain
paDhne baiThen to 'umr lag jae
itne afsane KHar-o-KHas mein hain
tum ko 'ghaalib' zamana jaanta hai
hum bhi mashhur aaTh das mein hain
kaun aage baDhe milae hath
ab mile hain to pesh-o-pas mein hain
chaho jis ko bana do khalnayak
sare kirdar dastaras mein hain
ruh parwaz kar gai lekin
aap zinda nafas-nafas mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.