sath nikle the zindagi aur main
saath nikle the zindagī aur maiñ
vo to aage nikal ga.ī aur maiñ
ro rahī hai ye zindagī mujh ko
khul ke jiite haiñ shā.erī aur maiñ
vaqt maano rukā rukā sā hai
chal rahe haiñ mirī ghaḌī aur maiñ
merā ġham jānte haiñ bas do log
aa.ine meñ vo aadmī aur maiñ
kabhī lagtā hai ḳhud-kushī kar luuñ
kabhī lagtā hai ḳhud-kushī aur maiñ
sath nikle the zindagi aur main
wo to aage nikal gai aur main
ro rahi hai ye zindagi mujh ko
khul ke jite hain shaeri aur main
waqt mano ruka ruka sa hai
chal rahe hain meri ghaDi aur main
mera gham jaante hain bas do log
aaine mein wo aadmi aur main
kabhi lagta hai KHud-kushi kar lun
kabhi lagta hai KHud-kushi aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.