sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana
saath saath ahl-e-tamannā kā vo muztar jaanā
allāh allāh tirā bazm se uTh kar jaanā
rahbarī kar ke mirī ḳhizr bhī chakkar meñ paḌe
ab unheñ jalva-gah-e-yār meñ aksar jaanā
dāġh-e-kam-hauslagī dil ko gavārā na huā
varna kuchh hijr meñ dushvār na thā mar jaanā
sādgī se ye gumāñ hai ki bas ab rahm kiyā
mutma.in huuñ ki mujhe aap ne muztar jaanā
nashshe meñ bhī tire 'beḳhud' kī ta'allī na ga.ī
bāda-e-hosh-rubā ko mai-e-kausar jaanā
sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana
allah allah tera bazm se uTh kar jaana
rahbari kar ke meri KHizr bhi chakkar mein paDe
ab unhen jalwa-gah-e-yar mein aksar jaana
dagh-e-kam-hauslagi dil ko gawara na hua
warna kuchh hijr mein dushwar na tha mar jaana
sadgi se ye guman hai ki bas ab rahm kiya
mutmain hun ki mujhe aap ne muztar jaana
nashshe mein bhi tere 'beKHud' ki ta'alli na gai
baada-e-hosh-ruba ko mai-e-kausar jaana
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 299)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.