sath un ke mere arman ka jaana Thahra
sath un ke mere arman ka jaana Thahra
Sajid Akhtar Mehshar Ansari
MORE BYSajid Akhtar Mehshar Ansari
saath un ke mire armān kā jaanā Thahrā
un kā aanā thā mirī jaan kā jaanā Thahrā
saath us ke jo kisī aur ko kar luuñ maiñ sharīk
ek laġhzish se hī īmān kā jaanā Thahrā
ḳhauf allāh kā jis qalb kī zīnat ho miyāñ
aise dil meñ kahāñ shaitān kā jaanā Thahrā
jab valī ne kiyā inkār mahal jaane se
un ke dar par bhī to sultān kā jaanā Thahrā
jis kī iimā pe nikālā gayā jannat se mujhe
us kī marzī se hī insān kā jaanā Thahrā
sar pe gaThrī hai gunāhoñ kī bhulā kar 'mahshar'
kaise kah duuñ ki baḌī shaan kā jaanā Thahrā
sath un ke mere arman ka jaana Thahra
un ka aana tha meri jaan ka jaana Thahra
sath us ke jo kisi aur ko kar lun main sharik
ek laghzish se hi iman ka jaana Thahra
KHauf allah ka jis qalb ki zinat ho miyan
aise dil mein kahan shaitan ka jaana Thahra
jab wali ne kiya inkar mahal jaane se
un ke dar par bhi to sultan ka jaana Thahra
jis ki ima pe nikala gaya jannat se mujhe
us ki marzi se hi insan ka jaana Thahra
sar pe gaThri hai gunahon ki bhula kar 'mahshar'
kaise kah dun ki baDi shan ka jaana Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.