sath walon ko yahan par yun akela chhoD kar
saath vāloñ ko yahāñ par yuuñ akelā chhoḌ kar
aap tanhā ho na jaa.eñ saath sab kā chhoḌ kar
duur se har ek chehra lagtā hai apnā magar
aap bhī chal hī diye nā saath merā chhoḌ kar
yaad ham hī ā.eñge us vaqt tum ko bārhā
jab chalā jā.egā koī tum ko apnā chhoḌ kar
us ke maiñ nazdīk itne aa gayā huuñ aaj kal
sab nazar aatā hai mujh ko us kā chehra chhoḌ kar
ghar meñ aaya to udāsī ruuTh kar kahne lagī
is tarah jaate nahīñ haiñ ghar kā dar vā chhoḌ kar
in laboñ se ek din tum hī kahoge dekhnā
koī ham ko mil na paayā aap jaisā chhoḌ kar
ek muddat saath apne rahte rahte thak ga.ī
ab udāsī jā rahī hai ghar hamārā chhoḌ kar
baat merī māniye yā pochhiye sayyād se
koī panchhī ḳhush nahīñ hai aaj piñjra chhoḌ kar
sath walon ko yahan par yun akela chhoD kar
aap tanha ho na jaen sath sab ka chhoD kar
dur se har ek chehra lagta hai apna magar
aap bhi chal hi diye na sath mera chhoD kar
yaad hum hi aaenge us waqt tum ko barha
jab chala jaega koi tum ko apna chhoD kar
us ke main nazdik itne aa gaya hun aaj kal
sab nazar aata hai mujh ko us ka chehra chhoD kar
ghar mein aaya to udasi ruTh kar kahne lagi
is tarah jate nahin hain ghar ka dar wa chhoD kar
in labon se ek din tum hi kahoge dekhna
koi hum ko mil na paya aap jaisa chhoD kar
ek muddat sath apne rahte rahte thak gai
ab udasi ja rahi hai ghar hamara chhoD kar
baat meri maniye ya pochhiye sayyaad se
koi panchhi KHush nahin hai aaj pinjra chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.