sath wahshat ho to purwai kahan se aae
saath vahshat ho to purvā.ī kahāñ se aa.e
rut ḳhizāñ kī ho to ra.anā.ī kahāñ se aa.e
tū ne dekhe hī nahīñ ishq meñ pech-o-ḳham jab
phir tire sheroñ meñ gahrā.ī kahāñ se aa.e
jis ke hoñToñ pe sadā jhuuT rahā kartā hai
us ke kirdār meñ sachchā.ī kahāñ se aa.e
mere har zaḳhm kī gahrā.ī samajhne vaale
sochtā huuñ ki masīhā.ī kahāñ se aa.e
jis makāñ meñ bhī panaptī hai burā.ī logo
us makāñ meñ bhalā achchhā.ī kahāñ se aa.e
merī shorīda-mizājī ko parakhne vaale
pūchhte haiñ ki tamāshā.ī kahāñ se aa.e
zindagānī kī alāmat hai sadāqat 'ahmad'
dil hī kaalā ho to dānā.ī kahāñ se aa.e
sath wahshat ho to purwai kahan se aae
rut KHizan ki ho to ranai kahan se aae
tu ne dekhe hi nahin ishq mein pech-o-KHam jab
phir tere sheron mein gahrai kahan se aae
jis ke honTon pe sada jhuT raha karta hai
us ke kirdar mein sachchai kahan se aae
mere har zaKHm ki gahrai samajhne wale
sochta hun ki masihai kahan se aae
jis makan mein bhi panapti hai burai logo
us makan mein bhala achchhai kahan se aae
meri shorida-mizaji ko parakhne wale
puchhte hain ki tamashai kahan se aae
zindagani ki alamat hai sadaqat 'ahmad'
dil hi kala ho to danai kahan se aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.