sath wo aaKHir-e-shab tak rahta
saath vo āḳhir-e-shab tak rahtā
chāñd rahtā bhī to kab tak rahtā
yā chalā aatā vahāñ se uTh kar
yā vahīñ arz-e-talab tak rahtā
aise mahfil meñ na hote badnām
mudda.ā larzish-e-lab tak rahtā
us pe khul jaate junūñ ke asrār
vo agar shor-o-shaġhab tak rahtā
pesh-qadmī kī duā.eñ detā
ik nigahbān aqab tak rahtā
pahlī fursat meñ nikal aanā thā
maiñ vahāñ rahtā to ab tak rahtā
us se aage kā mujhe ilm na thā
kaash vo nām-o-nasab tak rahtā
tasht-az-bām na hotā 'kātib'
raaz vo muhr-ba-lab tak rahtā
sath wo aaKHir-e-shab tak rahta
chand rahta bhi to kab tak rahta
ya chala aata wahan se uTh kar
ya wahin arz-e-talab tak rahta
aise mahfil mein na hote badnam
muddaa larzish-e-lab tak rahta
us pe khul jate junun ke asrar
wo agar shor-o-shaghab tak rahta
pesh-qadmi ki duaen deta
ek nigahban aqab tak rahta
pahli fursat mein nikal aana tha
main wahan rahta to ab tak rahta
us se aage ka mujhe ilm na tha
kash wo nam-o-nasab tak rahta
tasht-az-baam na hota 'katib'
raaz wo muhr-ba-lab tak rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.