sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae
sāthiyo jo 'ahd bāñdhā hai use toḌā na jaa.e
jism meñ jab tak lahū se mā'rka haarā na jaa.e
'ahd-e-māzī meñ bhī hai koh-e-nidā jaisā tilism
ye bhī vo āvāz hai muḌ kar jise dekhā na jaa.e
is qadar raas aa ga.ī haiñ zaat kī vīrāniyāñ
ḳhud ye ḳhvāhish ho rahī hai dil kā sannāTā na jaa.e
is se aage vāpsī kā rāsta koī nahīñ
jo yahāñ se lauTnā chāhe use rokā na jaa.e
jis se dil vābasta ho be-intihā shiddat ke saath
bhuul kar bhī us ta'alluq ko kabhī parkhā na jaa.e
yaad us kī phir kahīñ barsoñ na aa.e us ke baa'd
itnā jī bhar ke bhī aaj us ke liye royā na jaa.e
mere dukh sukh mere andar zinda haiñ sab kī tarah
shahr ke logoñ se mujh ko muḳhtalif samjhā na jaa.e
sathiyo jo 'ahd bandha hai use toDa na jae
jism mein jab tak lahu se ma'rka haara na jae
'ahd-e-mazi mein bhi hai koh-e-nida jaisa tilism
ye bhi wo aawaz hai muD kar jise dekha na jae
is qadar ras aa gai hain zat ki viraniyan
KHud ye KHwahish ho rahi hai dil ka sannaTa na jae
is se aage wapsi ka rasta koi nahin
jo yahan se lauTna chahe use roka na jae
jis se dil wabasta ho be-intiha shiddat ke sath
bhul kar bhi us ta'alluq ko kabhi parkha na jae
yaad us ki phir kahin barson na aae us ke ba'd
itna ji bhar ke bhi aaj us ke liye roya na jae
mere dukh sukh mere andar zinda hain sab ki tarah
shahr ke logon se mujh ko muKHtalif samjha na jae
- Book : Tabani (Pg. 37)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.