sātoñ falak kiye tah-o-bālā nikal gayā
āḳhir shab-e-firāq meñ naala nikal gayā
vahshat ne mujh pe arsa-e-hastī kiyā jo tañg
ghabrā ke sū-e-ālam-e-bālā nikal gayā
sar de de yād-e-gesū-e-jānāñ kī chaah meñ
piiTā karo lakīr ko kaalā nikal gayā
yāqūb-vār rotā maiñ us but ke hijr meñ
yūsuf mirā ḳhudā-e-ta.ālā nikal gayā
furqat meñ us kī shiddat-e-girya kahāñ talak
barsā baras ke abr kā jhālā nikal gayā
rokā kiye malā.ika haft āsmān ke
sātoñ falak ko toḌ ke naala nikal gayā
so.e na sākinān-e-mohalla sahar talak
be-sāḳhta jo raat ko naala nikal gayā
kyūñ-kar na roiye dil-e-gum-gashta ke liye
nāz-o-ni.am se thā jise paalā nikal gayā
pīr-e-muġhāñ faqīr ko samjhe sharāb-ḳhor
jis mai-kade meñ le ke piyāla nikal gayā
jaatā na ghar se aap ke zid se raqīb kī
lekin ba-pās-e-ḳhātir-e-vālā nikal gayā
jhaTkā jo uljhī zulf ko jhuñjhlā ke yaar ne
haale se machhlī kaan se baalā nikal gayā
kis rashk-e-gul kī dekhī qabā us ne tañg chust
bāhar jo apne jaame se laala nikal gayā
daana thā kyā harām kā rizq-e-halāl meñ
muñh se jo ai karīm nivāla nikal gayā
buuTā kaho na qāmat-e-dilbar ko shā.iro
ab sarv se bhī vo qad-e-bālā nikal gayā
rauñdā kyā maiñ ḳhār-e-bayābāñ ko ai junūn
har ik bachā ke paañv kā chhālā nikal gayā
kambal meñ apne garm rahā maiñ faqīr-e-mast
kyā gayā na daur-e-dār duunā nikal gayā
phir chal dilā na kūcha-e-gesū kā qasd kar
hai aaj raah kaaT ke kaalā nikal gayā
uktā gayā ba-tañg huā kyā kare ġharīb
āḳhir tumhārā chāhne vaalā nikal gayā
mehmān hai faqīr hai sun leñge aap 'rind'
murshid kā apne kar ke pyālā nikal gayā
saton falak kiye tah-o-baala nikal gaya
aaKHir shab-e-firaq mein nala nikal gaya
wahshat ne mujh pe arsa-e-hasti kiya jo tang
ghabra ke su-e-alam-e-baala nikal gaya
sar de de yaad-e-gesu-e-jaanan ki chah mein
piTa karo lakir ko kala nikal gaya
yaqub-war rota main us but ke hijr mein
yusuf mera KHuda-e-taala nikal gaya
furqat mein us ki shiddat-e-girya kahan talak
barsa baras ke abr ka jhaala nikal gaya
roka kiye malaika haft aasman ke
saton falak ko toD ke nala nikal gaya
soe na sakinan-e-mohalla sahar talak
be-saKHta jo raat ko nala nikal gaya
kyun-kar na roiye dil-e-gum-gashta ke liye
naz-o-niam se tha jise pala nikal gaya
pir-e-mughan faqir ko samjhe sharab-KHor
jis mai-kade mein le ke piyala nikal gaya
jata na ghar se aap ke zid se raqib ki
lekin ba-pas-e-KHatir-e-wala nikal gaya
jhaTka jo uljhi zulf ko jhunjhla ke yar ne
haale se machhli kan se baala nikal gaya
kis rashk-e-gul ki dekhi qaba us ne tang chust
bahar jo apne jame se lala nikal gaya
dana tha kya haram ka rizq-e-halal mein
munh se jo ai karim niwala nikal gaya
buTa kaho na qamat-e-dilbar ko shairo
ab sarw se bhi wo qad-e-baala nikal gaya
raunda kya main KHar-e-bayaban ko ai junun
har ek bacha ke panw ka chhaala nikal gaya
kambal mein apne garm raha main faqir-e-mast
kya gaya na daur-e-dar duna nikal gaya
phir chal dila na kucha-e-gesu ka qasd kar
hai aaj rah kaT ke kala nikal gaya
ukta gaya ba-tang hua kya kare gharib
aaKHir tumhaara chahne wala nikal gaya
mehman hai faqir hai sun lenge aap 'rind'
murshid ka apne kar ke pyala nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.