saton rang khula nahin pae hum bhi to
saton rang khula nahin pae hum bhi to
Khursheed Afsar Baswani
MORE BYKhursheed Afsar Baswani
sātoñ rañg khulā nahīñ paa.e ham bhī to
mausam us ke lā nahīñ paa.e ham bhī to
Dūbte kaise barf jamī thī dariyā meñ
sāñsoñ se pighlā nahīñ paa.e ham bhī to
jis kī tohmat rakkhī apne buzurgoñ par
vo dīvār girā nahīñ paa.e ham bhī to
laḌke ham se pūchh rahe the kaun haiñ aap
barsoñ ghar tak jā nahīñ paa.e ham bhī to
kis muñh se ham us ko samjhāte 'afsar'
dil kā bojh uThā nahīñ paa.e ham bhī to
saton rang khula nahin pae hum bhi to
mausam us ke la nahin pae hum bhi to
Dubte kaise barf jami thi dariya mein
sanson se pighla nahin pae hum bhi to
jis ki tohmat rakkhi apne buzurgon par
wo diwar gira nahin pae hum bhi to
laDke hum se puchh rahe the kaun hain aap
barson ghar tak ja nahin pae hum bhi to
kis munh se hum us ko samjhate 'afsar'
dil ka bojh uTha nahin pae hum bhi to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.