sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai
sāvan kā mahīna bhī hai bārish bhī nahīñ hai
sūkhe hue khetoñ pe navāzish bhī nahīñ hai
ab sar-ba-garebāñ hai mire shahr kā mausam
ahbāb bhī ḳhāmosh haiñ sāzish bhī nahīñ hai
har moḌ pe miltī haiñ tahayyur kī lakīreñ
pahle kī tarah tarz-e-nigārish bhī nahīñ hai
har gaam pe tūfāñ kā tasalsul hai mire saath
pairoñ meñ abhī tak mire laġhzish bhī nahīñ hai
maiñ raḳht-e-safar bāñdh ke niklā to huuñ ghar se
har gosha-e-dil meñ koī ḳhvāhish bhī nahīñ hai
sākit hai fazā vaqt kī masmūm havā se
titlī ke paroñ meñ koī jumbish bhī nahīñ hai
mehnat kā sila kaise karegā vo muqarrar
'ḳhālid' mire hamrāh sifārish bhī nahīñ hai
sawan ka mahina bhi hai barish bhi nahin hai
sukhe hue kheton pe nawazish bhi nahin hai
ab sar-ba-gareban hai mere shahr ka mausam
ahbab bhi KHamosh hain sazish bhi nahin hai
har moD pe milti hain tahayyur ki lakiren
pahle ki tarah tarz-e-nigarish bhi nahin hai
har gam pe tufan ka tasalsul hai mere sath
pairon mein abhi tak mere laghzish bhi nahin hai
main raKHt-e-safar bandh ke nikla to hun ghar se
har gosha-e-dil mein koi KHwahish bhi nahin hai
sakit hai faza waqt ki masmum hawa se
titli ke paron mein koi jumbish bhi nahin hai
mehnat ka sila kaise karega wo muqarrar
'KHalid' mere hamrah sifarish bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.