sawani rim-jhim bhi hai baad-e-saba hai shairi
sāvanī rim-jhim bhī hai bād-e-sabā hai shā'irī
bāñsurī kī taan tuutī kī sadā hai shā'irī
jugnuoñ kī dab-dabāhaT chāñd tāroñ kī chamak
āsmāñ par kahkashāñ kā dā.era hai shā'irī
rang vo qaus-e-quzah ke aur jharnoñ kā vo sur
sabz vaadī meñ ġhazāloñ kī adā hai shā'irī
barf kī chādar meñ lipTe kohsār o sabza-zār
chāñdnī meñ girte jharnoñ kī sadā hai shā'irī
phuul kī ḳhushbū chaman kā husn bhañvaroñ kā vo shor
phūTte chashmoñ se kal kal kī sadā hai shā'irī
ye sadā shā'ir ke dil kī ye muġhannī kī sadā
husn kā andāz 'āshiq kī vafā hai shā'irī
shā'irī ko muḳhtasar kar duuñ to bas itnā kahūñ
hiir hai rāñjhā hai ye 'ishq-o-vafā hai shā'irī
sawani rim-jhim bhi hai baad-e-saba hai sha'iri
bansuri ki tan tuti ki sada hai sha'iri
jugnuon ki dab-dabahaT chand taron ki chamak
aasman par kahkashan ka daera hai sha'iri
rang wo qaus-e-quzah ke aur jharnon ka wo sur
sabz wadi mein ghazalon ki ada hai sha'iri
barf ki chadar mein lipTe kohsar o sabza-zar
chandni mein girte jharnon ki sada hai sha'iri
phul ki KHushbu chaman ka husn bhanwaron ka wo shor
phuTte chashmon se kal kal ki sada hai sha'iri
ye sada sha'ir ke dil ki ye mughanni ki sada
husn ka andaz 'ashiq ki wafa hai sha'iri
sha'iri ko muKHtasar kar dun to bas itna kahun
hir hai ranjha hai ye 'ishq-o-wafa hai sha'iri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.