Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saya-e-zulf-e-kaj-shiar kahan

Sarfaraz Bazmi

saya-e-zulf-e-kaj-shiar kahan

Sarfaraz Bazmi

MORE BYSarfaraz Bazmi

    sāya-e-zulf-e-kaj-shi.ār kahāñ

    ye karam aur bār-bār kahāñ

    husn ko ḳhū-e-ehtiyāt ġhazab

    ishq ko zabt-e-intizār kahāñ

    Do-ghaḌī Thahr rupahlī shaam

    roz milte haiñ jāñ-nisār kahāñ

    ek darvesh-e-be-galīm se pūchh

    dil pe duniyā iḳhtiyār kahāñ

    ai shab-e-intizār ḳhatm na ho

    aur baaqī hai ab qarār kahāñ

    uf jigar chīrtī huī āvāz

    koī rotā hai zār-zār kahāñ

    dekh phūloñ se jal ga.e dāman

    ab charāġhoñ e.atibār kahāñ

    paikar-e-husn bijliyāñ na girā

    ab sakat aur chashm-e-yār kahāñ

    haañ batā de kahāñ rahūñ behosh

    aur rahnā hai hoshiyār kahāñ

    terā 'bazmī' shahīd-e-jām-e-alast

    is ko ḳhauf-e-salīb-o-dār kahāñ

    saya-e-zulf-e-kaj-shiar kahan

    ye karam aur bar-bar kahan

    husn ko KHu-e-ehtiyat ghazab

    ishq ko zabt-e-intizar kahan

    Do-ghaDi Thahr ja rupahli sham

    roz milte hain jaan-nisar kahan

    ek darwesh-e-be-galim se puchh

    dil pe duniya ka iKHtiyar kahan

    ai shab-e-intizar KHatm na ho

    aur baqi hai ab qarar kahan

    uf jigar chirti hui aawaz

    koi rota hai zar-zar kahan

    dekh phulon se jal gae daman

    ab charaghon ka eatibar kahan

    paikar-e-husn bijliyan na gira

    ab sakat aur chashm-e-yar kahan

    han bata de kahan rahun behosh

    aur rahna hai hoshiyar kahan

    tera 'bazmi' shahid-e-jam-e-alast

    is ko KHauf-e-salib-o-dar kahan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now