saya mera ban jae mere sath rahe wo
saaya mirā ban jaa.e mire saath rahe vo
maiñ ḳhud se karūñ baat to chāhūñ ki sune vo
ḳhāka huuñ to phir merī koī shakl ubhāre
tasvīr huuñ to mujh meñ koī rang bhare vo
aa jaa.e to tanhā.ī ke is shelf se niklūñ
khul jā.ūñ kitāboñ kī tarah aur paḌhe vo
vo ḳhvāb thā jab tak to rahā phuul kī sūrat
ab Tuut ke har pal mirī āñkhoñ meñ chubhe vo
maiñ 'sham'' kahāñ ab bhī unheñ bhuul sakī huuñ
logoñ ne batāyā hai mujhe bhuul ga.e vo
saya mera ban jae mere sath rahe wo
main KHud se karun baat to chahun ki sune wo
KHaka hun to phir meri koi shakl ubhaare
taswir hun to mujh mein koi rang bhare wo
aa jae to tanhai ke is shelf se niklun
khul jaun kitabon ki tarah aur paDhe wo
wo KHwab tha jab tak to raha phul ki surat
ab Tut ke har pal meri aankhon mein chubhe wo
main 'sham kahan ab bhi unhen bhul saki hun
logon ne bataya hai mujhe bhul gae wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.