saya na jis ka aaya kabhi mere aas-pas
saaya na jis kā aaya kabhī mere ās-pās
rahne lagā hai aaj vahī mere ās-pās
miltā nahīñ hai mujh ko ḳhushī kā koī surāġh
phailī huī hai sirf ġhamī mere ās-pās
jis ne diyā hai mujh ko har ik moḌ par fareb
vo yaar phir rahā hai abhī mere ās-pās
tū jo bichhaḌ gayā hai to ye zindagī mirī
bikhrī paḌī hai TuuTī huī mere ās-pās
aa.e na koī dil ke nihāñ-ḳhāne meñ mire
ranj-o-alam bahut haiñ abhī mere ās-pās
shāyad kisī kī lag ga.ī 'ādil-hirā’ nazar
rahtī nahīñ hai koī ḳhushī mere ās-pās
saya na jis ka aaya kabhi mere aas-pas
rahne laga hai aaj wahi mere aas-pas
milta nahin hai mujh ko KHushi ka koi suragh
phaili hui hai sirf ghami mere aas-pas
jis ne diya hai mujh ko har ek moD par fareb
wo yar phir raha hai abhi mere aas-pas
tu jo bichhaD gaya hai to ye zindagi meri
bikhri paDi hai TuTi hui mere aas-pas
aae na koi dil ke nihan-KHane mein mere
ranj-o-alam bahut hain abhi mere aas-pas
shayad kisi ki lag gai 'adil-hira’ nazar
rahti nahin hai koi KHushi mere aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.