saz-e-hasti pe abhi jhum ke ga le mujhko
sāz-e-hastī pe abhī jhuum ke gā le mujh ko
zindagī se ye kaho aur na Taale mujh ko
maiñ ne to sub.h-e-daraḳhshāñ kī duā māñgī thī
kyuuñ mile zard charāġhoñ ke ujāle mujh ko
tujh ko paane ke liye umar gañvā dī maiñ ne
haq to bantā hai ki tū apnā banā le mujh ko
ye to saaqī kī jagah aur koī baiThā hai
ye jo gin gin ke pilātā hai piyāle mujh ko
maiñ zamāne ke jhameloñ meñ dhañsā jaatā huuñ
us se kahiye ki vo daldal se nikāle mujh ko
apnī ḳhāmosh tamannā kī aziyyat se nikal
jo sunānā hai zarā khul ke sunā le mujh ko
nā-tavānī hī mirī tāb-o-tavāñ hai 'ādil'
maiñ ne kab tujh se kahā thā ki bachā le mujh ko
saz-e-hasti pe abhi jhum ke ga le mujh ko
zindagi se ye kaho aur na Tale mujh ko
main ne to subh-e-daraKHshan ki dua mangi thi
kyun mile zard charaghon ke ujale mujh ko
tujh ko pane ke liye umar ganwa di main ne
haq to banta hai ki tu apna bana le mujh ko
ye to saqi ki jagah aur koi baiTha hai
ye jo gin gin ke pilata hai piyale mujh ko
main zamane ke jhamelon mein dhansa jata hun
us se kahiye ki wo daldal se nikale mujh ko
apni KHamosh tamanna ki aziyyat se nikal
jo sunana hai zara khul ke suna le mujh ko
na-tawani hi meri tab-o-tawan hai 'adil'
main ne kab tujh se kaha tha ki bacha le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.