saz-e-jaan par gham ki jab naghma-zani hoti nahin
sāz-e-jāñ par ġham kī jab naġhma-zanī hotī nahīñ
dil kī dhaḌkan tarjumān-e-zindagī hotī nahīñ
yā tavajjoh hī nigāh-e-husn kī hotī nahīñ
yā ye kahiye merī hairat meñ kamī hotī nahīñ
yuuñ mirā afsāna-e-ġham nā-mukammal rah gayā
jaise takmīl-e-mazāq-e-'āshiqī hotī nahīñ
haañ kabhī ġham bhī nazar aatā thā ham-rang-e-ḳhushī
ab ḳhushī ke vaqt bhī dil ko ḳhushī hotī nahīñ
haa.e vo aañsū jo dil kī aag bhaḌkāte rahe
uf vo soz-e-mustaqil jis meñ kamī hotī nahīñ
dekhnā ye intihā-e-vaz'-dārī dekhnā
māne'-e-ādāb-e-ulfat be-ḳhudī hotī nahīñ
dil kī betābi ab is manzil pe le aa.ī mujhe
jis jagah haa.il ḳhudī-o-be-ḳhudī hotī nahīñ
kyoñ mirī laġhzish ko nādānī kā tā'na dījiye
'ishq hotā hai to ‘aql-o-āgahī hotī nahīñ
jaane kin nazroñ se dekhā thā 'hazīñ' ko aap ne
aaj tak betābī-e-dil meñ kamī hotī nahīñ
saz-e-jaan par gham ki jab naghma-zani hoti nahin
dil ki dhaDkan tarjuman-e-zindagi hoti nahin
ya tawajjoh hi nigah-e-husn ki hoti nahin
ya ye kahiye meri hairat mein kami hoti nahin
yun mera afsana-e-gham na-mukammal rah gaya
jaise takmil-e-mazaq-e-'ashiqi hoti nahin
han kabhi gham bhi nazar aata tha ham-rang-e-KHushi
ab KHushi ke waqt bhi dil ko KHushi hoti nahin
hae wo aansu jo dil ki aag bhaDkate rahe
uf wo soz-e-mustaqil jis mein kami hoti nahin
dekhna ye intiha-e-waz'-dari dekhna
mane'-e-adab-e-ulfat be-KHudi hoti nahin
dil ki betabi ab is manzil pe le aai mujhe
jis jagah hail KHudi-o-be-KHudi hoti nahin
kyon meri laghzish ko nadani ka ta'na dijiye
'ishq hota hai to ‘aql-o-agahi hoti nahin
jaane kin nazron se dekha tha 'hazin' ko aap ne
aaj tak betabi-e-dil mein kami hoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.