sazish mein mere qatl ki wo mubtala to hai
sāzish meñ mere qatl kī vo mubtalā to hai
mujh ko ḳhushī ye hai vo mujhe sochtā to hai
achchhā nahīñ burā hī sahī māntā to hai
us ke taḳhayyulāt meñ merī jagah to hai
iqbāl maal 'aish hukūmat nahīñ rahī
lekin hamāre paas hamārī anā to hai
qissoñ kahāniyoñ meñ kitāboñ meñ hī sahī
ab bhī hamārī duniyā meñ baaqī vafā to hai
āñkhoñ ko hī shu.ūr-e-samā.at nahīñ rahā
varna har ek chehra yahāñ boltā to hai
do-chār jis se hotā hai shā'ir chhupā.e laakh
vo karb shā'irī se kahīñ jhāñktā to hai
chāhī thī jitnī daad nahīñ dī to kyā huā
lekin 'sa.ādat' aap ne mujh ko sunā to hai
sazish mein mere qatl ki wo mubtala to hai
mujh ko KHushi ye hai wo mujhe sochta to hai
achchha nahin bura hi sahi manta to hai
us ke taKHayyulat mein meri jagah to hai
iqbaal mal 'aish hukumat nahin rahi
lekin hamare pas hamari ana to hai
qisson kahaniyon mein kitabon mein hi sahi
ab bhi hamari duniya mein baqi wafa to hai
aankhon ko hi shuur-e-samaat nahin raha
warna har ek chehra yahan bolta to hai
do-chaar jis se hota hai sha'ir chhupae lakh
wo karb sha'iri se kahin jhankta to hai
chahi thi jitni dad nahin di to kya hua
lekin 'saadat' aap ne mujh ko suna to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.