sazishen thin biphar gaya pani
sāzisheñ thiiñ biphar gayā paanī
maiñ jo Duubā utar gayā paanī
narm lahje se kāTiye patthar
ye sikhā ke hunar gayā paanī
pāniyoñ ko bhī kaaT de ye kaTār
is siyāsat se Dar gayā paanī
ek sahmī huī sī machhlī hai
kaise paanī se Dar gayā paanī
māriye haath pair jaan bache
ab to sar se guzar gayā paanī
dafn sāgar meñ ho gayā dariyā
yuuñ to apne hī ghar gayā paanī
jal rahe ghar kī baat aa.ī to
phir zabāñ se mukar gayā paanī
duub kī nok pe hai motī sā
yuuñ palak pe Thahar gayā paanī
kashtiyāñ jab duā.eñ karne lagīñ
rafta rafta utar gayā paanī
kitne parbat Dubo ke aayā thā
ek tinke se Dar gayā paanī
phir vo muḌ kar kabhī nahīñ aayā
jo puloñ se guzar gayā paanī
yuuñ to chhalkā hai terī āñkhoñ se
merī āñkhoñ meñ bhar gayā paanī
maiñ tere hī badan kā hissa huuñ
aag se bol kar gayā paanī
ek badlī baras paḌī jo 'ḳhayāl'
dekh phir dar-ba-dar gayā paanī
sazishen thin biphar gaya pani
main jo Duba utar gaya pani
narm lahje se kaTiye patthar
ye sikha ke hunar gaya pani
paniyon ko bhi kaT de ye kaTar
is siyasat se Dar gaya pani
ek sahmi hui si machhli hai
kaise pani se Dar gaya pani
mariye hath pair jaan bache
ab to sar se guzar gaya pani
dafn sagar mein ho gaya dariya
yun to apne hi ghar gaya pani
jal rahe ghar ki baat aai to
phir zaban se mukar gaya pani
dub ki nok pe hai moti sa
yun palak pe Thahar gaya pani
kashtiyan jab duaen karne lagin
rafta rafta utar gaya pani
kitne parbat Dubo ke aaya tha
ek tinke se Dar gaya pani
phir wo muD kar kabhi nahin aaya
jo pulon se guzar gaya pani
yun to chhalka hai teri aankhon se
meri aankhon mein bhar gaya pani
main tere hi badan ka hissa hun
aag se bol kar gaya pani
ek badli baras paDi jo 'KHayal'
dekh phir dar-ba-dar gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.