sazishon ke daur mein mausam ne yun jakDa hamein
sāzishoñ ke daur meñ mausam ne yuuñ jakḌā hameñ
ain mumkin hai mo.arriḳh bhī likhe andhā hameñ
dostī kī ye zarūrī shart ho jaise koī
har qadam par dostoñ ne de diyā dhokā hameñ
jalte ḳhemoñ meñ hamārī nasl roñdī jā.egī
yaad rakkhegī hamāre baad ye duniyā hameñ
phir sunā.ī de rahī hai har taraf ghoḌoñ kī Top
phir naved-e-tishnagī dene lage dariyā hameñ
aadmī haiñ ham nahīñ haiñ peḌ par 'sābir' 'razā'
bāñTanā hogā kaḌaktī dhuup meñ saaya hameñ
sazishon ke daur mein mausam ne yun jakDa hamein
ain mumkin hai moarriKH bhi likhe andha hamein
dosti ki ye zaruri shart ho jaise koi
har qadam par doston ne de diya dhoka hamein
jalte KHemon mein hamari nasl rondi jaegi
yaad rakkhegi hamare baad ye duniya hamein
phir sunai de rahi hai har taraf ghoDon ki Top
phir nawed-e-tishnagi dene lage dariya hamein
aadmi hain hum nahin hain peD par 'sabir' 'raza'
banTana hoga kaDakti dhup mein saya hamein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 362)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.